Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) ne ek raat Khwab me Dekha ki koi Shakhs Gaib se aawaz deta hai aur kehta hai ki: “Aye Ibrahim…! Tumhe Allah ka huqm hai ki apne bete ko Allah ki raah me zibaah kar do.”
Nabi Ibrahim Alaihi Salam ke bare me tafseeli jankari ke liye is Hiqayat ke series ka mutala kare.
Chunki, Nabiyon Ka Khwaab Saccha Aur “Wahih” ki Qism se hota hai isliye Aap apne mehboob bete Hazrat Ismail (Alaihay Salam) ko Allah Ta’ala ki raah me Qurbaan karne ko taiyyar ho gaye.
Chunki, Hazrat Ismail (Alaihay Salam) abhi Kum-Umr they, Isliye aapne unse sirf itna kaha ki Beta rassi aur ek churi le kar mere sath chalo. chunanche, Apne bete ko leker Aap ek Jungal me pahunche.
Hazrat Ismail (Alaihay Salam) ne pucha, Abbajaan! Aap yeh churi aur Rassi le kar kyun chalte hain?
Farmaaya “Aage chal kar ek Qurbani zabaah karenge”
Phir Aage Chal kar Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) Ne Saaf-Saaf Bayaan Farmaa Diya aur Kaha,
“Beta! Main Allah Ta’ala ki raah me Tumhe hi Zabaah karne aaya hun, Maine khwaab me dekha hai ki tumhe Zabaah kar raha hoon”. Beta! yeh Allah Ta’ala ki marzi hai, Bata tumhari marzi kya hai?”
Hazrat Ismail (Alaihay Salam) ne Jawaab Diya:
“Abbajaan! Jab Allah Ta’ala ki marzi yahi hai tou phir meri marzi ka kya sawaal? aapko jis baat ka huqm hua hai, Aap woh kijiye! In’sha;Allah Main sabr kar ke dikhaunga!”
Bete ka yeh zurrat aamez Jawaab sun kar Hazrat Ibrahim (Alaihay Salam) bade khush hue aur apne Bete ko Allah Ta’ala ki raah me Zibaah karne par taiyyar ho gaye!
Jab Aapne Apne Bete ko Maathe ke bal litaaya aur Gardhan par churi rakhi aur usey chalaya tou churi ne Gardhan-e-Ismail ko bilkul na kaata!
Aapne aur zor se churi chalayi tou Awaaz aayi: “Bas aye Ibraahim! tum Huqm-e-Iaahi ki taamil kar chuke aur iss sakht imtihaan me khare utre.”!
Aapne mud kar dekha tou ek dumba paas hi khada tha aur aapse keh raha tha ki Hazrat Ismail (Alaihay Salam) ki jagah mujhe Zabaah kijiye! aur inhen hataa dijiye, chunanche Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) ne uss Doombe ko Zibaah farma diya.!
Hazrat Ismail (Alaihay Salam) uth baithe aur iss imtihaan me kaamyaab ho gaye!
Al-Quran : Para 23, Kutub-A-Tafasir
0 टिप्पणियाँ