Advertisement

Responsive Advertisement

Behlul ke bate (Heart Touching lines)



Behlul ke bathy (heart touching lines)<\h1>
Asslam-o Alaikum
kehte hai ki ek baar Zunaid bagdadi Safar( journy) ke liye rawana huye aur hazrat ke sath kuch mureed bhi samil the
shaikh ne apne murido se puchcha tm logo ko "Behlul"ka haal maloom hai?

logo ne kaha Hazrat wo to dewana hai
Aap usse mulkar kya karege ?

shaikh ne Zawab diya zara"Behlol"ko
 Talaash mujhe usse kaam hai'
mureedo ne shaikh ki hukm ki tameel samjhi thodi justazo ke baad ek sehra me "Behlul" ko Dhund nikala
Aur shaikh ko apne sath waha lekar gaye Shaikh "Behlul" ke samne gaye to dekha ki "Behlul" sar ke niche ek eet rakhe hai Shaikh ne Salam ki to "Behlul"ne Zawab de kar pucha Tum koun ho?
Shaikh ne Zawab diya mai hu "Zunaid Bagdadi" ro aye abul qasim tum hi wo Zunaod bagdadi ho jo logo ko buzurg ki bate sikhate ho?
"ji ha koshish to karta hu

Achcha to tum apne khane ka tariqa to jante honge?
q nahi "Bismillah" padhta hu aur apne samne ki cheej khata hu,chota niwala banata hu,ayista ayista khata hu dusre ke niwale par nazar nahi dalta aur khana khate time Allah ki yaad se gafil nahi hota।

phir 2bara kaha jo luqma khata hu Alhumdulillh kehta hu,khana suru karne se pehle haat dota hu aur  khane se farig hone ke baad bhi hath dhota hu

ye sunkar "Behlul"uth kahde hu aur apna daman shikh ki taraf jhatak diye aur Phir unse kaha?
tum insano ke peer mureed banna chahete ho aur haal ye hai abhi taq khane ka tariqa  nahi Zante ho।

ye kehkar "Behlul" ne apna rasta liya- saikh ke mureedo ne kaha  Hazrat ye shahksh to dewana hai
Ha dewana to hai magar apne kaam ke liye hosiyaro ke kan kaatta  hai isse sachchi baat sunni chahiye-aaoiske piche chale mukhe isse kaam hai

"Behlul" ek viraan me pahuch kar ek jagah baith gaye Saikh bagdadi inke paas pahuche to inhone ne phir saikh se phir ye sawal kiya:
 koun ho tum?
Mai hu bagdadi saikh jo khana khane ka tariqa nahi janta!
"Behlul"ne kaha khair tum khana khane ke tariqe se Na waqif ho to Baat karne ka tariqa to jante hi ho ge?
Saikh ne Zawab diya ji ha janta hu!
To batao kis tarah baat karte hai?

"Mai har baat ek andaz ke mutabiq karta hu! be mouke aur be hisaa  nahi bola jata sunne walo ki samajh ka andaza kar ke qhalak Khuda ko Allah aut Rasool (SAW) ke Aehkam ki taraf  focus karata hu Ye khyal karta hu ki itni baat na karo ki log mujh se be jaar ho jaye batni aur jaheri uloom ke nukte rakhta hu
"Behlul" ne kaha khana khane ke tariq ek tarf hai ,Tumhe to baat karne ka Dhang bhi nahi Aata;phir Saikh se munh pehra aur ek taraf chal diye mureedo se khamosh na raha gaya aur ye phir bol diye;Hazrat ue shakhs to dewana hai Aap dewano se bhala kya tal'luk rakhte ho:
Bhai mujhe to inse kaam hai tum log nahi samjh sakte iske baad Saikh ne phir "Beloul"ka picha kiya "Beloul" me piche mud kar dekha aur kaha tumhe khane aur baat karne ka tariqa nahialoom
To sone(Sleep) ka tariqa tumhe maloom ho ga!
Sailh ne kaha ji ha maloom hai
Achcha batao tum kis tarah sote ho?
jab mai Isha ki Namaz aur darood wajaef se farig hota hu to sone ke liye chala jata hu ye keh kar sailh ne sone ke tariqa bayan kiye jo inhe buzurgane deen ki taleem se hasil huye
 the!
"Behlul" ne kaha maloom hua ki tmhe sone ka tariqa bhi maloom nahi hai!
ye keh kar "Beloul" ne jana chcha to Saikh ne unka daman pakd liya aur kaha
Hazrat mai nahi janta Allah ke waste "Tum mujhe sikha do"
kuch dair baad kaha miya ye jotni bate tumne kahi hai ye sab baad ki cheej hai
asal baat mujh se suno ki khane ka asal tariqa ye hai ki Sabse pehle Halaal ki rozi honi chahiye, agar khana me haram ki milawat ho jaye to jo Adab tum ne kaha hai iske koi fauid nahi hai aur dil bright hone ke bajaye darkness ho jaye ga!
Phir "Behlul" ne bataya Guftago karne ke liye sabse pehle dil ka paak hona aur neeat ka saaf hona jaroori hai iska bhi khyaal rahe ki jo baat kahi jayeAllah ki raza mandi ke liye  ho Agar koi garz dunyavi lagao ya baat fazool kism ki hogi chahe wo kitne Achche Alfaz me kahi jaye tumhare liye wo gzb hogi isliye khamossh rehna achcha hai!

Aur phir sone ka tariqa bataya
is tarah se sone ke mutaliq jo kuch tune kaha wa bhi Asal maksood nahi,Asal Asal baat ye hai ki ahar tum sone lago to tumhara dil  "Bugz-kina aur hasad"
khali ho tumhare dil me duniya aur male duniya ki muhabbat Na ho Aur need na Aane taq Allah ka ziqr karte raho:
"Behlul" ki baat khatam hi Hazrat Zunaid Bagdadi inke hato ko bosa diya
aur inke liye dua ki, Saikh Zunaid ke mureed ye manjar delhkar hairaan rah gaye inhe apni galti ka ehsaas hua aur ye baat inki samjh me Aa gayi!
Assalam-oAlaikum


एक टिप्पणी भेजें

0 टिप्पणियाँ